Saturday, 29 March 2014

HINDI SHAYARI

Ek din ke pyar ke liye itna tarasta tha main
Ke doosre din pyaar karne ki fursat na mili mujhe.

BISHWAS SHAYARI

Wo Kehti Hai Chalo Hawa Ke Sath Chalte Hain.
Mai Khamoshi Se UsKe Sath Chal Deta Hun Bujhne Ko
Wo Mujh Se Pochti Hai Tum Kahan Gayab Ho Sadiyon Se
Main Kehta Hun. Hazaron wishwason Ke Darmian Gum Hun.

Thursday, 27 March 2014

AANKHEN SHAYARI

Rog Dil Ko Lagaa Gai Aankhein.
Ik Tamasha Dikha Gai Aankhein.
Mil Ke Unh Ki Nigaah-e-jaadu Se.
Dil Ko Hairan Bana Gai Aankhein.
Mujh Ko Dikhla Ke Raah-e-kucha-yaar.
Kis Gazab Mein Phansa Gai Aankhein.
Us Ne Dekha Tha Kis Nazar Se Mujhe.
Dil Mein Sama Gai Aankhein.
Mahfil-e-yaar Mein Ba-zauq-e-nigaah.
Lutf Kya Kya Utha Gai Aankhein.
Haal Sunte Vo Kya Meri
Vo To Kahiye Sunaa Gai Aankhein.

AANKHEN SHAYARI

Chahta Ho Kuch Is Tarha. Tari Ankhon Me Ho Pehra Mera.
Hawa Guzari Tu Mujhe Chuh Kar,mout Guzari Mujh Se Takra Kar..

IMTIHAN SHAYARI

Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain.
Abhi Ishq Ke Imtihan Aur Bhi Hain.
Tari Zindagi Se Nahi Ye Fazain
Yahan Sainkdon Imtihan Aur Bhi Hain..

SATH SHAYARI

Sach Hi Kaha Tha Kisi Ne Tanha Jee na sake..
Mohabat Jitni Bhi Sachi Ho Sath Chor Jati Hai..

MUQDAR SHAYARI

Mere Muqaddar Ko Bhi Gila Raha Mujh Se..
Ke Kisi Or Ka Hota to Sanwar Gaya Hota..

DIL SHAYARI

Ghar Bna Kar Mere Dil Mai Wo Chor Gya
Na Khud Rehta Hai Na Kisi Aur Ko Basne Deta Hai

BROKEN HURT SHAYARI

Hamara Dil Tuta to tujhe kaya parwa..
Lakin Jab tera Tutega tab tujhe meri Yaad aegi..

MEHFIL SHAYARI

Chalo Rakhte Hain Wafa Unwan-e Guftgu
Phir Dekhre Hain Mehfil Mein Rehta Hai Kon Kon

AITBAAR HINDI SHAYARI

Na Hamein Zindagi Sa Pyar Tha.
Zindagi ka Na Koi Aitbaar Tha.
Hum Ko To Pyaar Tha Sirf Tumse
Tumse Hi Bus Aitbaar Tha.

SAD LOVE HINDI SHAYARI

SAD LOVE SHAYARI

UsNe Apni Khushi Ki Khatir Mere Dil Ke Tukde Tukde Kar Diye
Lekin Khud Hi Ro Pda Har Tukde Pe Apna Naam Dekh Kar

TAMANNA HINDI SHAYARI

Haan Main Wohi Shakhs Hoon,
Dil Main Jis Ke Koi Bhi Tamanna Nahi Baki..

SAD HINDI SHAYARI

Hmain Bhi Pta Tha Ke Log Badal Jate Hain.
Mgar Ham Ne Kabhi Tumhain Logon Mai  manaa Hi Nahi Tha

UDAS HINDI SHAYARI

Usko Mera Halka Sa Ehsas To Hai
BeDard Sahi Wo Mera Hamraz To Hai
Wo Aye Na Aye Mere Pas Lekin
Shidat Se Mujhe Uska Intzar To Hai
Abi Nhi To Kya Hua Mil Hi Jayga Kabhi
Mere Dil Mei Us Se Milne Ki Aas To Hai
Mohabat Ki Gawahi Meri Aankho Se Na Maang
Barsti Nhi Ankhen Magar Dil Udas to Hai

Wednesday, 26 March 2014

INTZAAR SHAYARI

Ek din ke pyaar ke liye itna tarasta tha mai .
Ke doosre din pyaar karne ki fursat na mili mujhe.
-Thakur vicky

KHAYAL SHAYARI

Kafi Arsa Beet Gaya Hai,
Janey Ab Wo Kaisa Hoga …
Waqt Ki Saari Karr’wi Baatain,
Chup Chaap Hi Ab Sehta Hoga …
Ab Bhi Bheegi Barish Mein Wo,
Bin Chatri K Chalta Hoga …
Mujh SeBichreyArsa Beeta,
Ab Wo Kiss Se Larta Hoga …
Acha Tha Jo Sath Hi Rehtay,
Baad Mein Us Ne Socha Hoga …
Apne Dil Ki Sari Batain,
Khud Se Khud Hi Kehta Hoga …
Kafi Arsa Beet Gaya Hai,
Janey Ab Wo Kaisa Hoga..

YAAD SHAYARI

Kisi Ke Paigam Ko Zara Pyar Se Padha Kijiye
Kisi Ki Chahat Ka Ehsas Kiya Kijiye
Koi Dil Se Yaad Karta Hai Aapko
Kam Se Kam Hichkiyan To Liya Kijiye..

- Thakur vicky

SAWAL SHAYARI

Khayal Jis Ka Tha Mujhe Khayal Mein Mila Mujhe
Sawal Ka Jawab Bhi Sawal Mein Mila Mujhe..
- thakur vicky

YAAD SHAYARI

Kash K Ab K Baras Wo Yeh Keh De .
Aao K Tanha Hoon Teri Tarah  Tere Liye.

-Thakur vicky

HINDI POETRY SHAYARI

Milta Bi Nahi Tumhare Jesa Koi Aur Is Shehr Mai
Hmain Kia Malom Tha Tum Aik Ho Wo Bi Kisi Aur Ke

Tuesday, 25 March 2014

SAD HINDI POEM'S


Jaan Kar Anjan Banna Acha Lagta Hai
Mujey Unko Apne Liay Pareshan Karna Acha lagta hai.
Muje Woh Karte Rahe Piyar Ka Iqrar
Bar Bar Nadan Ban Kar Har Bar Sunna Acha Lagta Hai...





Uski Batain Bar Bar Yaad Karke Roye
Uske Liye RABB Se Faryaad Karke Roye,
Uski Khushi Ke Liye Choord Diaa Usey
Phir Uski Hi Kami Ka Ehasas Karke Roye...



Koi Judaa Ho Gaya Koi Khafa Ho Gaya
Najane Zindgi Me Humse Kyaa Gunah Ho Gaya,
Bohat Sajde Kiye Kisi Ko Pane Ke Liay
Jis Sajde Me Usy Pana Tha Wohi Qaza Ho Gaya..






Mujhe Qismat Se Shikwa Nahi Lekin "Ay KHUDA"
Woh Zindagi Me Kyun Aya Jo Qismat Me Nahi Tha...






Sochte Hain Seekh Lain Hum Bhi Berukhi Karna Sab Se,
Sab Ko Muhabbat Dete Dete Hum Ne Apni Qadar Kho Di...






Door Ja Kar Bhi Hum Door
Ja Naa Sakenge
Kitna Royenge Hum
Btaa Na Sakenge,
Gham Iska Nahi Ke Aap
Mil Na Sakoge,
Dard Is Baat Ka Koga Ke Hum Aapko
Bhula Na Sakenge..






Amal Se Bhi Mangaa Wafa Se Bhi Mangaa
Tujhe Maine Teri Razaa Se Bhi Mangaa,
Na Kuch Ho Saka To Duaa Se Bhi Mangaa
Kasam Hai KHUDA Ki KHUDA Se Bhi Mangaa...






Mere Rooth Jane Se Ab Unko Koi Faraq Nahi Parta,
BeChain Kar Daiti Thi Kabhi Jinko Khaamoshi Meri...







Un Haseen Palon Ko Yaad Kar Rahe The
Aasmaan Se Aapki Baat Kar Rahe The,
Sukoon Mila Jab Humain Hawaon Ne Btaya
Aap Bhi Hamain Yaad Kar Rahe The...






Mere Piyar Ki Woh Intiha Pochte Hain
Dil Me Hai Kitni Jagaa Pochte Hain,
Chahte Hain Hum Unko Khud Se Ziyada
Is Chaahat Ki Bhi Woh Wajaa Pochte Hain..
















Thursday, 20 March 2014

HINDI SHAYARI


Soch ko badlo, sitare badal jayenge,
Nazar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiyan badalne ki zarurat nahi,
Dishaon ko badlo, kinare badal jayenge.

Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno mein jaan hoti hai,
Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udan hoti hai.


Lehron ko shaant dekh kar yeh mat samjhna
Ki samandar mein ravani nahi hai,
Jab bi uthenge toofan ban kar uthenge,
Abhi uthne ki thani nahi hai.


Aankhon mein khushi, labon par hansi, Gham ka koi naam na ho,
Aapko jahan ki saari khushiyan mile, in khushiyon ki kabhi sham na ho..


Rishta banana itna aasan hai
Jaise MITTI pe MITTI se MITTI likhna
Aur rishta nibhana itna mushkil hai
Jaise PANI pe PANI se PANI likhna..



Yaadon mein hum rahein ye ehsas rakhna,
Nazron se door sahi dil ke paas rakhna,
Ye nahi kehte ke sath raho,
Door sahi par yaad rakhna..



Har ek se achchi baat karna fitrat hai hamari,
Har ek khush rahe ye hasrat hai hamari,
Koi hum ko yaad kare ya na kare,
Har ek ko yaad karna aadat hai hamari....


Sehmi si nigahon mein khwab hum jaga denge,
Sooni in raho pe phool hum khila denge,
Hamare sang muskura ke to dekhiye,
Hum aapke har gham bhula denge..



Phool se pehle khusboo ko to dekho,
Karne se pehle kaam ko to dekho,
Kisi ke roop mein diwana na bano,
Surat se pehle uske dil ko to dekho.



Gham mein hasne walon ko kabhi rulaya nahi jata,
Lehron se pani ko hataya nahi jata,
Hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata....


Gum-e-Zindagi ke sitamvaar bahut hain…
Ranj-o-Mayusi ke deedar bahut hain…
Himmat-e-Insaan ke aage kya nahi mumkin…
Mana ke Sikast-o-Haar ke aasaar bahut hain...



Yaad aaye jo tum humko abhi…
Dil mein hui hulchul tabhi…
Lafzon ko tham liya zubaan ne haye…
Kehna hai kuchh tumse….par fir kabhi....

Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma ke sitaron ki tarah hamare armaan bhi bikharte rehte hain,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta....



Duniya ka har shauk pala nahi jata,
Kaanch ke khilono ko uchhala nahi jata,
Mehnat karne se mushkilein ho jati hai aasan,
Kyon ki har kaam taqdeeron par tala nahi jata....



Bhagwan ne insan ko kya se kya bana diya,
Kisi ko kavi to kisi ko katil bana diya,
Do phoolon ka wajan na utha sakti thi Mumtaz,
Sahjahan ne uske liye tajmahal bana diya...



Kuchh sitaron ki chamak nahi jaati,
Kuchh yadon ki khanak nahi jaati,
Kuchh logon se hota hai aisa rishta,
Ke door reh ke bhi un ki mehak nahi jaati....


Khairaat mein mili hui khushi mujhe achchi nahi lagti…..
Main apne dukhon mein bhi rahta hoon nawabon ki taraha...


Fitrat aur haalat mein tasadum hai warna …
Insan kabhi dil ka bura nahi hota…



Kis kadar anjaan hai yeh silsila-e-ishq bhi,
Muhabbat to kayam rehti hai magar “Insan” toot jate hain..



Hamne mehboob jo badla to taajjub kaisa,
Log kafir se musalman bhi to ho jate hain.....


Main uska hoon, ye raaz to woh jaan gaya hai!!
Woh kiska hai ye sawaal mujhe sone nahi deta...


Us shakhs se faqat itna sa talluq hai,
Woh pareshan ho to hamein neend nahi aati…



Teri mehfil se nikle kisi ko khabar tak na hui,
Tera mud mud ke dekhna hamein badnam kar gaya…..



Tum takalluf ko bhi akhlas samajte ho
Dost hota nahi har haath milane wala…


Lafz ko phool banana to karishma hai faraz…
Ho na ho koi to hai teri nigarish main shareek.....



Apni nakami ka ek sabab ye bhi hai,
Cheez jo mangte hain sb se juda mangte hain…





Wo khud ko phool aur hum ko patthar keh kar muskuraya karte hain,
Un ko kya khabar patthar to patthar rehtt hain phool hi murjhaya kartt hain.....



Khawahishon ka kafila bhi ajeeb hi hai,
Aksar wahin se guzarta hai jahan rasta na ho.....




Chehre ki hasi se har gam chupao,
Bahut kuchh bolo par kuchh na batao.
Khud na rutho kabhi par sabko manao,
Ye raz hai zindagi ka, bas jeete chale jao....



Ek din sagar ne nadi se pucha,
Kab tak milti rahogi mujh khare jal se?
Nadi ne hans kar kaha,
Jab tak tujh me mithas na aa jaye tab tak....



Phool bankar muskurana zindagi,
Muskura ke gham bhulana zindagi,
Jeet kar koi khush ho to kya hua,
Haar kar khushiyan manana bhi zindagi....




Sabhi naghme saaz mein gaye nahi jaate,
Sabhi log mehfil mein bulaaye nahi jaate,
Kuchh paas reh kar bhi yaad nahi aate,
Kuchh door reh kar bhi bhulaye nahi jaate....



Yadein hoti hain satane ke liye,
Koi roothta hai phir maan jane ke liye,
Rishte banana koi mushkil to nahi,
Jaan bhi chali hai nibhane ke liye....



Sabhi ko sab kuchh nahin milta,
Nadi ki har lehar ko sahil nahin milta,
Yeh dil walon ki dunia hai dost,
Kisi se dil nahin milta to koi dil se nahin milta....



Taqdeer ke khel se kabhi mayoos nahi hote,
Zindagi mein aise kabhi udaas nahi hote,
Hathon ki lakeeron par vishwas mat karna,
Taqdeer to unki bhi hoti hai jinke hath nahi hote....



Aashiyane ki baat karate ho,
Dil jalane ki baat karate ho,

Saari duniya ke ranj-o-gam de kar,
Muskurane ki baat karate ho.

Hum ko apni khabar nahin yaaron,
Tum zamane ki baat karate ho,

Zikrr mera suna to chidh ke kaha,
Kis diwane ki baat karate ho.

Hadasaa tha guzar gaya hoga,
Kis ke jaane ki baat karate ho.....



Sham suraj ko dhalna sikhati hai,
Shama parwane ko jalana sikhati hai,
Girne wale ko hoti to hai takleef,
Par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.....



Zindagi mein kisi ko is kadar mat pyar karo,
Ki zindagi bina unke aadhori lage,
Mohhabat is kadar karo ki,
Hamari mohhabat ke bine woh aadhoori lage...



Agar manzil pana hai to HAUSALA sath rakhna,
Agar pyar pana hai to AITBAR sath rakhna,
Aur agar chaho hamesha muskurana,
To sab bhoolkar bas HAMEIN yaad rakhana....



Ya khuda meri duaon mein itna asar karde,
Khushiyan use, dard uska mujhe nazar kar de.
Dilon se dooriyon ka ehsaas mita de ya maula,
Nahin to uske aanchal ko mera kafan kar de....


Unki duaon ka hum par asar dekhiye,
Kahan reh gayi thi ye kasar dekhiye.
Hum to nazar aayenge har ishq mein,
Is jahan mein aap apni basar dekhiye.
Bhool baitha hai shayad woh is gaon ko,
Kya hona hai ab haal-e-sahar dekhiye.
Ek baar yun hi sahi rakhne ko dil mera,
Dar par mere zara kabhi thahar dekhiye....



Wo khafa bhi hota hai to zahir nahi karta,
Kasoorwar hain hum ye bhala khabar kaise ho,
Jiske deed se dhadkano ko rahat hoti hai,
Aadin bina us chand ke zindagi ye basar kaise ho....



Kaise woh laut aaye ke fursat use nahin,
Duniya samajh rahi hai mohabbat use nahin.
Lagta hai aa chuki hai kami us ki chah mein,
Kafi dinon se mujh se shikayat use nahin.
Dil ki zameen us ki hai banjar isi liye,
Jazbon ki barishon ki jo aadat use nahin.....



Phoolon ki yaad aati hai kaanton ko chhune par,
Rishton ki samajh aati hai faaslon pe rehne par,
Kuchh jazbaat aise bhi hote hain jo ankhon mein padhe nahin jaate,
Woh to nazar aate hain zubaan se kehne par...



Naam ki kya baat karte ho,
Log chehre tak bhool jate hain.
Tum samander ki baat karte ho,
Log aankhon main doob jate hain....



Gile shikwe na dil se laga lena,
Kabhi maan jana to kabhi manaa lena,
Kal ka kya pata hum ho na ho,
Jab mauka mile thoda has lena aur hasaa dena....



Pattharon ko itna na pujo ke woh dewta ho jaye,
Kisi ko itna na chaho ke woh bewafa ho jaye.....



Baadalon ke darmiyan kuchh aisi saazish hui,
Mera ghar mitti ka tha mere hi ghar baarish hui,

Usko bhi zid hai bijliyan girane ki,
Aur hamein bhi zid hai wahin aashiyan banane ki....




Har ek rooh ki saanson pe wazan dekh raha hoon,
Main har ek sakhs ke haathon mein kafan dekh raha hoon.
Arre logon khuda hone ka dava na karo,
Main to insaan mein aadam ko bhi kam dekh raha hoon.
Yeh hawaon mein zahar aur yeh bimaar fiza,
Kal ko jo hona hai Anzaam-e-Chaman dekh raha hoon.
Yeh khuda ke liye Qatl-e-Khudai chhoro,
Nasl-e-Aadam mein tabahi ka chalan dekh raha hoon.
Roshni walon andheron mein bhi jeena seekho,
Mein aaftaab ke kadmon mein thakan dekh raha hoon...


Yaad aane wale yaad aaye ja rahe hain
Meri khayalon ki duniya par chhaye ja rahe hain
Hum kuch kehna chah rahe hain un se ,
Par wo chup hain bas sms padh ke muskuraye ja rahe hain....



Abhi to baaz ki asali udaan baaki hai,
Abhi to aapka imtihan baaki hai,
Abhi tak to aapne zamin dekhi hai,
Abhi to pura aasmaan baaki hai...



Ankhoo ki aawaz kuch aur hoti hai,
Aansoo ki aag kuch aur hoti hai…
Kaun chahta hai bichhadna apnon se,
Par kismat ki baat kuch aur hoti hai …



Dil hona chahiye, Jigar hona chahiye,
Ashiqui ke liye hunar hona chaihye,
Nazar se nazar milne par ishq nahi hota,
Nazar ke us paar bhi ek asar hona chahiye....































































Wednesday, 19 March 2014

sad hindi shayari

जिंदगी चाहत का सिलसिला है..
फिर भी जिसको चाहा वो कहाँ मिला है.. 
दुश्मनों से हमें कोई शिकायत नहीं..
अपनों ने ही लूटा इस बात का गिला है..
जिसको चाहा वो ही दे गया दगा..
हमको ज़माने में यही मिला वफ़ा का सिला है...
किसी की याद को दिल में बसा के रोये..
किसी की तस्वीर को सीने से लगा के रोये...
जो वादा किया था हम ने किसी से..
हम उस वादे को निभा के रोये...
जिस शख्स को हमारी ज़रुरत नही थी..
हम उस शख्स को अपनी आरजू बना के रोये...
जिस ने हमें अपने कदमों तले भी जगह न दी..
हम उसे अपनी पलकों पर बैठा के रोये...
‪
फिर नहीं बसते वो जो एक बार उजड़ जाते है..
कब्रें जितनी भी संवारो वहां रोनकें नहीं होती...

अजीब सी आदत और गज़ब की फितरत है अपनी
मोहब्बत हो या नफरत..
बहुत प्यार से करते हैं..
ना ही तनहा रात गुज़री - ना ही उम्मीदों भरी नयी सुबह निकली 
मौत को भी गले से लगाया था पर मौत भी बेवफा निकली...

जा तेरी नज़रों से अब मैंने मुँह मोड़ लिया ..
तेरी ख़ुशी के लिए अब मैंने तुझे ही छोड़ दिया...

एक ज़रा सी भूल खता बन गई..
मेरी वफ़ा ही मेरी सजा बन गई..
दिल लिया और खेल कर तोड़ दिया
हमारी जान गयी उनकी अदा बन गई...

मेरी हैसियत का अंदाजा तुम यह जान कर लगा लो गे..
हम उनके कभी नहीं होते जो हर किसी के हो जाएँ...

बहाना क्यूँ तलाश करते हो नाराज़ होने का..
बस इतना ही कह दिया करो के अब दिल में जगह नहीं रही.....

बहुत मुश्किल से होता है तेरी यादों का कारोबार..
मुनाफा कम है लेकिन गुज़ारा हो ही जाता है...

हमने माना के हमें ज़िन्दगी समझते हो...
लोग कहते हैं तुम्हे ज़िन्दगी से प्यार नहीं...

निकलते तो हैं आँखों से तेरे नाम के सफ़र पर...
पलकों में बसी तेरी तस्वीर अश्कों को बहने नहीं देती...


पलकों में आँसु और दिल में दर्द सोया है..
हँसने वालो को क्या पता, रोने वाला किस कदर रोया है..
ये तो बस वही जान सकता है मेरी तनहाई का आलम..
जिसने जिन्दगी में किसी को पाने से पहले खोया है...



ना पूछ मेरे सब्र की इंतेहा कहाँ तक हैं, तू सितम कर ले, तेरी हसरत जहाँ तक हैं, 
वफ़ा की उम्मीद, जिन्हें होगी उन्हें होगी, 
हमें तो देखना है, तू बेवफ़ा कहाँ तक हैं


मैंने ख़ुदा से एक छोटी सी दुआ मांगी !!
दुआ में उससे अपनी मौत मांगी !!
ख़ुदा ने कहा बेशक मैं तुझे मौत दे दूं पर उसे क्या दूं जिसने तेरी लंबी उमर की दुआ मांगी ‪

मेरे आगोश में मरने की दुआ करती थी !
वो मुझे अपनी जिंदगी कहा करती थी !
बात किस्मत की हैं जो जुदा हो गए हम !
वर्ना वो मुझे अपनी तक़दीर कहा करती थी

















HINDI SHAYARI

1. Jahan yaad na aaye teri,
Woh tanhaai kis kaam ki.
Bigde rishte na bane,
To khudaai kis kaam ki.
Beshak apni manzil tak jana hai hamein,
Lekin jahaan se apne na dikhein,
Woh oonchaai kis kaam ki



2. Yeh bhi ek dua hai khuda se,
Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se,
Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe,
Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se.


3.Utha hua har hath dua ke liye nahi hota,
Jhuka hua har parda hawa ke liye nahi hota,
Apni galtiyon se bhi chirag bhuj jate hai aksar,
Kasoor hawa ka har baar nahi hota…

4.Utha hua har hath dua ke liye nahi h
ota,
Jhuka hua har parda hawa ke liye nahi hota,
Apni galtiyon se bhi chirag bhuj jate hai aksar,
Kasoor hawa ka har baar nahi hota…

5. Utha hua har hath dua ke liye nahi hota,
Jhuka hua har parda hawa ke liye nahi hota,
Apni galtiyon se bhi chirag bhuj jate hai aksar,
Kasoor hawa ka har baar nahi hota…

Friday, 14 March 2014

Sad hindi shayari

Agar mile kabhi wo bewafa
To koi batana use ki kitni
Mohabbat thi is dil me us ke liye
अगर मिले कभी वो बेवफा
तो कोई बताना उसे की कितनी
मोहब्बत थी इस दिल में उस के लिए