Wednesday, 26 March 2014

KHAYAL SHAYARI

Kafi Arsa Beet Gaya Hai,
Janey Ab Wo Kaisa Hoga …
Waqt Ki Saari Karr’wi Baatain,
Chup Chaap Hi Ab Sehta Hoga …
Ab Bhi Bheegi Barish Mein Wo,
Bin Chatri K Chalta Hoga …
Mujh SeBichreyArsa Beeta,
Ab Wo Kiss Se Larta Hoga …
Acha Tha Jo Sath Hi Rehtay,
Baad Mein Us Ne Socha Hoga …
Apne Dil Ki Sari Batain,
Khud Se Khud Hi Kehta Hoga …
Kafi Arsa Beet Gaya Hai,
Janey Ab Wo Kaisa Hoga..

No comments:

Post a Comment