Soch ko badlo, sitare badal jayenge,
Nazar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiyan badalne ki zarurat nahi,
Dishaon ko badlo, kinare badal jayenge.
Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno mein jaan hoti hai,
Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udan hoti hai.
Lehron ko shaant dekh kar yeh mat samjhna
Ki samandar mein ravani nahi hai,
Jab bi uthenge toofan ban kar uthenge,
Abhi uthne ki thani nahi hai.
Aankhon mein khushi, labon par hansi, Gham ka koi naam na ho,
Aapko jahan ki saari khushiyan mile, in khushiyon ki kabhi sham na ho..
Rishta banana itna aasan hai
Jaise MITTI pe MITTI se MITTI likhna
Aur rishta nibhana itna mushkil hai
Jaise PANI pe PANI se PANI likhna..
Yaadon mein hum rahein ye ehsas rakhna,
Nazron se door sahi dil ke paas rakhna,
Ye nahi kehte ke sath raho,
Door sahi par yaad rakhna..
Har ek se achchi baat karna fitrat hai hamari,
Har ek khush rahe ye hasrat hai hamari,
Koi hum ko yaad kare ya na kare,
Har ek ko yaad karna aadat hai hamari....
Sehmi si nigahon mein khwab hum jaga denge,
Sooni in raho pe phool hum khila denge,
Hamare sang muskura ke to dekhiye,
Hum aapke har gham bhula denge..
Phool se pehle khusboo ko to dekho,
Karne se pehle kaam ko to dekho,
Kisi ke roop mein diwana na bano,
Surat se pehle uske dil ko to dekho.
Gham mein hasne walon ko kabhi rulaya nahi jata,
Lehron se pani ko hataya nahi jata,
Hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata....
Gum-e-Zindagi ke sitamvaar bahut hain…
Ranj-o-Mayusi ke deedar bahut hain…
Himmat-e-Insaan ke aage kya nahi mumkin…
Mana ke Sikast-o-Haar ke aasaar bahut hain...
Yaad aaye jo tum humko abhi…
Dil mein hui hulchul tabhi…
Lafzon ko tham liya zubaan ne haye…
Kehna hai kuchh tumse….par fir kabhi....
Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma ke sitaron ki tarah hamare armaan bhi bikharte rehte hain,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta....
Duniya ka har shauk pala nahi jata,
Kaanch ke khilono ko uchhala nahi jata,
Mehnat karne se mushkilein ho jati hai aasan,
Kyon ki har kaam taqdeeron par tala nahi jata....
Bhagwan ne insan ko kya se kya bana diya,
Kisi ko kavi to kisi ko katil bana diya,
Do phoolon ka wajan na utha sakti thi Mumtaz,
Sahjahan ne uske liye tajmahal bana diya...
Kuchh sitaron ki chamak nahi jaati,
Kuchh yadon ki khanak nahi jaati,
Kuchh logon se hota hai aisa rishta,
Ke door reh ke bhi un ki mehak nahi jaati....
Khairaat mein mili hui khushi mujhe achchi nahi lagti…..
Main apne dukhon mein bhi rahta hoon nawabon ki taraha...
Fitrat aur haalat mein tasadum hai warna …
Insan kabhi dil ka bura nahi hota…
Kis kadar anjaan hai yeh silsila-e-ishq bhi,
Muhabbat to kayam rehti hai magar “Insan” toot jate hain..
Hamne mehboob jo badla to taajjub kaisa,
Log kafir se musalman bhi to ho jate hain.....
Main uska hoon, ye raaz to woh jaan gaya hai!!
Woh kiska hai ye sawaal mujhe sone nahi deta...
Us shakhs se faqat itna sa talluq hai,
Woh pareshan ho to hamein neend nahi aati…
Teri mehfil se nikle kisi ko khabar tak na hui,
Tera mud mud ke dekhna hamein badnam kar gaya…..
Tum takalluf ko bhi akhlas samajte ho
Dost hota nahi har haath milane wala…
Lafz ko phool banana to karishma hai faraz…
Ho na ho koi to hai teri nigarish main shareek.....
Apni nakami ka ek sabab ye bhi hai,
Cheez jo mangte hain sb se juda mangte hain…
Wo khud ko phool aur hum ko patthar keh kar muskuraya karte hain,
Un ko kya khabar patthar to patthar rehtt hain phool hi murjhaya kartt hain.....
Khawahishon ka kafila bhi ajeeb hi hai,
Aksar wahin se guzarta hai jahan rasta na ho.....
Chehre ki hasi se har gam chupao,
Bahut kuchh bolo par kuchh na batao.
Khud na rutho kabhi par sabko manao,
Ye raz hai zindagi ka, bas jeete chale jao....
Ek din sagar ne nadi se pucha,
Kab tak milti rahogi mujh khare jal se?
Nadi ne hans kar kaha,
Jab tak tujh me mithas na aa jaye tab tak....
Phool bankar muskurana zindagi,
Muskura ke gham bhulana zindagi,
Jeet kar koi khush ho to kya hua,
Haar kar khushiyan manana bhi zindagi....
Sabhi naghme saaz mein gaye nahi jaate,
Sabhi log mehfil mein bulaaye nahi jaate,
Kuchh paas reh kar bhi yaad nahi aate,
Kuchh door reh kar bhi bhulaye nahi jaate....
Yadein hoti hain satane ke liye,
Koi roothta hai phir maan jane ke liye,
Rishte banana koi mushkil to nahi,
Jaan bhi chali hai nibhane ke liye....
Sabhi ko sab kuchh nahin milta,
Nadi ki har lehar ko sahil nahin milta,
Yeh dil walon ki dunia hai dost,
Kisi se dil nahin milta to koi dil se nahin milta....
Taqdeer ke khel se kabhi mayoos nahi hote,
Zindagi mein aise kabhi udaas nahi hote,
Hathon ki lakeeron par vishwas mat karna,
Taqdeer to unki bhi hoti hai jinke hath nahi hote....
Aashiyane ki baat karate ho,
Dil jalane ki baat karate ho,
Saari duniya ke ranj-o-gam de kar,
Muskurane ki baat karate ho.
Hum ko apni khabar nahin yaaron,
Tum zamane ki baat karate ho,
Zikrr mera suna to chidh ke kaha,
Kis diwane ki baat karate ho.
Hadasaa tha guzar gaya hoga,
Kis ke jaane ki baat karate ho.....
Sham suraj ko dhalna sikhati hai,
Shama parwane ko jalana sikhati hai,
Girne wale ko hoti to hai takleef,
Par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.....
Zindagi mein kisi ko is kadar mat pyar karo,
Ki zindagi bina unke aadhori lage,
Mohhabat is kadar karo ki,
Hamari mohhabat ke bine woh aadhoori lage...
Agar manzil pana hai to HAUSALA sath rakhna,
Agar pyar pana hai to AITBAR sath rakhna,
Aur agar chaho hamesha muskurana,
To sab bhoolkar bas HAMEIN yaad rakhana....
Ya khuda meri duaon mein itna asar karde,
Khushiyan use, dard uska mujhe nazar kar de.
Dilon se dooriyon ka ehsaas mita de ya maula,
Nahin to uske aanchal ko mera kafan kar de....
Unki duaon ka hum par asar dekhiye,
Kahan reh gayi thi ye kasar dekhiye.
Hum to nazar aayenge har ishq mein,
Is jahan mein aap apni basar dekhiye.
Bhool baitha hai shayad woh is gaon ko,
Kya hona hai ab haal-e-sahar dekhiye.
Ek baar yun hi sahi rakhne ko dil mera,
Dar par mere zara kabhi thahar dekhiye....
Wo khafa bhi hota hai to zahir nahi karta,
Kasoorwar hain hum ye bhala khabar kaise ho,
Jiske deed se dhadkano ko rahat hoti hai,
Aadin bina us chand ke zindagi ye basar kaise ho....
Kaise woh laut aaye ke fursat use nahin,
Duniya samajh rahi hai mohabbat use nahin.
Lagta hai aa chuki hai kami us ki chah mein,
Kafi dinon se mujh se shikayat use nahin.
Dil ki zameen us ki hai banjar isi liye,
Jazbon ki barishon ki jo aadat use nahin.....
Phoolon ki yaad aati hai kaanton ko chhune par,
Rishton ki samajh aati hai faaslon pe rehne par,
Kuchh jazbaat aise bhi hote hain jo ankhon mein padhe nahin jaate,
Woh to nazar aate hain zubaan se kehne par...
Naam ki kya baat karte ho,
Log chehre tak bhool jate hain.
Tum samander ki baat karte ho,
Log aankhon main doob jate hain....
Gile shikwe na dil se laga lena,
Kabhi maan jana to kabhi manaa lena,
Kal ka kya pata hum ho na ho,
Jab mauka mile thoda has lena aur hasaa dena....
Pattharon ko itna na pujo ke woh dewta ho jaye,
Kisi ko itna na chaho ke woh bewafa ho jaye.....
Baadalon ke darmiyan kuchh aisi saazish hui,
Mera ghar mitti ka tha mere hi ghar baarish hui,
Usko bhi zid hai bijliyan girane ki,
Aur hamein bhi zid hai wahin aashiyan banane ki....
Har ek rooh ki saanson pe wazan dekh raha hoon,
Main har ek sakhs ke haathon mein kafan dekh raha hoon.
Arre logon khuda hone ka dava na karo,
Main to insaan mein aadam ko bhi kam dekh raha hoon.
Yeh hawaon mein zahar aur yeh bimaar fiza,
Kal ko jo hona hai Anzaam-e-Chaman dekh raha hoon.
Yeh khuda ke liye Qatl-e-Khudai chhoro,
Nasl-e-Aadam mein tabahi ka chalan dekh raha hoon.
Roshni walon andheron mein bhi jeena seekho,
Mein aaftaab ke kadmon mein thakan dekh raha hoon...
Yaad aane wale yaad aaye ja rahe hain
Meri khayalon ki duniya par chhaye ja rahe hain
Hum kuch kehna chah rahe hain un se ,
Par wo chup hain bas sms padh ke muskuraye ja rahe hain....
Abhi to baaz ki asali udaan baaki hai,
Abhi to aapka imtihan baaki hai,
Abhi tak to aapne zamin dekhi hai,
Abhi to pura aasmaan baaki hai...
Ankhoo ki aawaz kuch aur hoti hai,
Aansoo ki aag kuch aur hoti hai…
Kaun chahta hai bichhadna apnon se,
Par kismat ki baat kuch aur hoti hai …
Dil hona chahiye, Jigar hona chahiye,
Ashiqui ke liye hunar hona chaihye,
Nazar se nazar milne par ishq nahi hota,
Nazar ke us paar bhi ek asar hona chahiye....
No comments:
Post a Comment